Sunday, December 26, 2010

Kuch door hamare saath chalo,,,,,

Kuch door hamare saath chalo
Hum dil ki kahani kehdein ge
Samjhe na tum jise aankhon se
Woh baat zubaani kehdein ge

Jo pyar karein ge jaanein ge
Har baat hamari maanein ge
Jo jaley na hon khudh ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein ge

Jab pyaas jawan ho jaye gi
Ehsaas ki manzil paye gi
Khamosh rahein ge aur tumhein
Hum apni kahani kehdein ge

Is dil mein zara tum baitho to
Kuch haal hamara poocho to
Hum sada dil hain Ashk mager
Har baat poorani kehdein ge...

Thursday, December 23, 2010

Hawa jab geet gati hai ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Hawa jab geet gati hai mere aansu nhi rukte,
Tmhari yad aati hai mere aansu nahi rukte,
Mein khush hoti hn pani me baha kr kaagzi kashti,
Magar jab doob jati hai mere aansu nhi rukte,
Me din bhar khof ruswai ka kitna zabt krti hon,
Magar jab raat chaati hai mere aansu nhi rukte,
Kabi jab sard shamo me mere kamry ki tanhai,
Tumhe wapas bulati hai mere aansu nhi rukte.
Kabi mjse achanak tm jo aise Roth jate ho,
Main us wqt muskurati hun magar ansoo ni ruktey,
Mjhy jb khayal ata ha juda hona b Mumkin ha,
Main khud ko Tal deti hun magar ansu ni rukte.

Meri majaar pe aana tum ek pal ke liye,,,,,,,,,,


Meri majaar pe aana tum ek pal ke liye
mere ghar ko bhi sajaana tum ek pal ke liye
yahin banaunga jannat mai do jahano ki
gareeb-khane me aana tum ek pal ke liye
kahin kho jayenge andhere umar bhar ke liye
chirag dil ka jalana tum ek pal ke liye
kyi baras se pada hu mai qaid-khane me
rihaayi mujhko dilana tum ek pal ke liye
har ek pal me ho shaamil pyar sadiyon ka
ek aisi shaam ko lana tum ek pal ke liye
tadap raha hu tanhaai me ek jamane se
mujhe gale se lagana tum ek pal ke liye
tujhe samjhunga sajan apna mai sada ke liye
mujhe mehboob banana tum ek pal ke liye

Wo Dil,Dil Nahin Hota

Wo Dil,Dil Nahin Hota, Wo Pyar,Pyar Nahin Hota,
Jo Chahat Mein Bekarar Nahin Hota
Thoda Tadapna.Thoda Machalna,
Tou Hai Mohabbat Ki Ada,
Jo In Raahon Se Na Guzre,
Wo Yaar,Yaar Nahin Hota.

Ik tamanna thi jis ki,,,,,



Khalid
Ik tamanna thi jis ki, woh khwab tum ho,
Hai sitaron ko bhi khabar, mera mehtaab tum ho.
Youn tau kai chehre mile iss zamane mein,
Magar dil ne kaha, nigahon ka aftaab tum ho.
Dekh kar phoulon ko hota hai ye gumaan,
Mast baharon mein khila gulaab tum ho.
Dastaan-e-mohabbat ho, ya koi afsaana-e-dil,
Har bazm-e-yaraan mein, mera khitaab tum ho.
Likha hai main ne, ae dost, alfaaz-e-mohabbat,
Meri ghazal,mere ashaar,meri kitaab tum ho

Jawani kyun barbaad karti ho,,,,,,,,,,

Jawani kyun barbaad karti ho mohabbat ke khwabon mein....


Mujhko tune dhoka diya Daulat ke lalach mein....


Jis daulat ke piche duniya khud lut jate hai....


Par mohabbat karne wale uske hi haatho se chhut jate hai..!!

Apki yaadon ki mehak in hawao mein hai....

Apki yaadon ki mehak in hawao mein hai....


Kuch apnapan sa in fizao mein hai....


Khusia chume apki kadam hardam....


Ye hi sapna apna in nigaho mein hai..!!

Mila hai sab kuch to fariyad kya kare....

Mila hai sab kuch to fariyad kya kare....


Dil hai parishan to jazbaat kya kare....


Aap sochte honge ki yaad nehi karte apko....


Bhula hi nehi sakte jise use yaad kya kare..!!

Basti basti khor udasi,,,,,,,,,,,

Basti basti khor udasi parvat parvat khali pan,
man hira bemol lut gaya ghis ghisri ka tan chandan,
is dharti se us ambar tak do hi chiz gajab ki hai,
ek to tera bhola pan hai ek mera deewana pan……..
Main uska hoon vo is ahsaas se inkar karta hai,
bhari mahfil me bhi ruswa mujhe har baar karta hai,
yakin hai sari duniya ko khafa hai humse vo lekin,
mujhe maloom hai phir bhi mujhise pyar karta hai……..
Jiski dhoon par dunia naache dil ek aisa taara hai,
jo tumko bhi pyaara hai jo humko bhi pyaara hai,
jhoom rahi hai saari dunia jabki humaare giton par,
tab kahti ho pyar hua hai kya ahsaan tumhara hai……..
Bahut bikhra bahut toota thapde sah nahi paaya,
hawaon ke isharon par magar main bah nahi paaya,
adhoora ansuna hi rah gaya ye pyaar ka kissa,
kabhi tum sun nahi paayi kabhi main kah nahi paaya………

Ek Mohabbat Hai Badgumaan Hona

Ek Mohabbat Hai Badgumaan Hona
Ek Haqeeqat Hai Daastan Hona
Ek Takkalum Hai Bezubaan Hona
Ek Doori Hai Raazdaan Hona
Aankh Kashti Hai Waqt Paani Hai
Dil Pe Likha Hai Baadbaan Hona
Mere Soochein Jala Kar Rakh Dega
Teri Yaadoun Ka Saaiyebaan Hona
Ek Mohabbat Tera Samar Dena
Ek Tabahi Tera Kamaan Hona
Tu Jo Aaye Toh Mohabbat Banti Hai
Warna Umroun Ka Rayegaan Hona
Ruby Hoti Hain Aisi Baatein Bhi
Jinka Mumkin Nahi Bayan Hona
Thanks Best Regards

Written By
Mrs Rubina Yasmeen

Meri aur uski aankhen

Meri aur uski aankhen
kitni milti julti hain
ek jaisi rangat wali hain
farq hai to bas itna sa
meri aankhon mai rang hai uska
uski aankhen khali hain….

Jindagi ki asli udaan abhi baaki hai,,,,,,,,,

Jindagi ki asli udaan abhi baaki hai
Jindagi ke kai imtehan abhi baaki hai
Abhi to naapi hai mutthi bhar zamin humne
Abhi to sara aasman baaki hai…
`
Apne saaye se bhi ashkon ko chupa kar rona
Jab bhi rona to chiragon ko bujha kar rona
Jahan chot khana wahan muskurana
Magar is ada se ke roye sara zamana…
`
Hoke maayus na yu shaam ki tarah dhalte rahiye
Jindgi ek bhor hai suraj ki tarah nikalte rahiye
Tharoge ek paav par to thak jaaoge
Dheere dheere hi sahi magar raah par chalte rahiye..
`
Mushkile dilo ke iraade azmayegi
Khwaabo ke parde nigaaho se hatayegi
Girkar tujhe hai smabhalna
Yeh thokaren hi tujhe chalna sikhayegi…

Bus ek baar humse ,,,,,,,,,,,,

Bus ek baar humse pyaar kar ke tu dekho
Raat mein khayaalon mein aati ho tum
Kabhi saamne aakar bhi dekho
Hum se baatein tu roz karte ho tum
Kabhi humaari taraf muskuraakar bhi dekho
Humaari nazar bohat kuch keh deti hai
Kabhi hamein nazaon se samjh kar tu dekho
Humse dosti ka rishta hai tumhaara,
Kabhi hum say dil lagaa kar tu dekho
Humaari baton ne tumhaara dil kai baar behlaaya hai
Kabhi apni baton se hamein hasaa kar tu dekho
Mujhse milkar anjaane mein dil mein basne lagti ho
Kabhi hamein bhi apne dil mein basaa kar tu dekho
Har mushkil rah be aasaan ho jaayegi bus
Hum par ik baar eitbaar kar ke tu dekho
Hum tumhein zindagii mein har khushi denge
Bus ek baar humse pyaar kar ke tu dekho
Tumhein apaane ke liye har imtihaan denge hum
Humein kabhi aazmaa kar tu dekho
Tum kehte ho ke bohat mushkil hai mujhe apnaa
Ek baar hamein apna banaa kar tu dekho

Iss ajab daur mein aashiq bhi ajeeb hote hai

Iss ajab daur mein aashiq bhi ajeeb hote hai
ek din dost dusre din rakeeb hote hai
iss liye toh mene mohabbat nahin ki hai
mohabbat mein toh sirf dukh naseeb hote hai ..
`
Jab se dekha hai teri aankhon mein jhank kar
koi bhi aaina acha nahin lagta
teri mohabbat mein aise hue hai deewane
tumhe koi aur dekhe toh acha nahin lagta..
`
Masti ko muhabbat me fanaaa koun karega ..??
yeh farz mere sewa adaa koun karee ga …???
Haathoo ki lakiroun ko zaraa dekh najomi……
yeh dekh mere saath wafa koun karee ga?????
`
Dilon mein aarzu ke diye jalte rahenge
aakhon se aansu nikalte rahenge
aap shamaa bankar dil mein roshani toh karo
hum to mom bankar pighalte rahenge
`
Apni nazar me meri nigaah phir kyon dhoondhte ho..
Apni tanhai me meri kami kyon mehsoos karte ho..
Apne ahsaason me meri chhuuan kyon talashtey ho..
Apne lafzon se aksar yeh faasley kyon taye karte ho…

Apni nazar me meri nigaah phir kyon dhoondhte ho..

Apni nazar me meri nigaah phir kyon dhoondhte ho..
Apni tanhai me meri kami kyon mehsoos karte ho..
Apne ahsaason me meri chhuuan kyon talashtey ho..
Apne lafzon se aksar yeh faasley kyon taye karte ho
`
Khwabon mein aate ho TUM
yaadon mein aate ho TUM
jahan mein jau jahan mein dekhu
mujhe nazar aate ho TUM
`
Aankhon me rahne walo ko yaad nahi karte,
Dil me rehne walo ki baat nahi karte,
Hamari to ruh me bus gaye hain aap,
Tabhi to hum milne ki fariyaad nahi karte
`
Kuch nasha teri baat ka hai
Kuch nasha dhimi barsaat ka hai
Hum to kabse nashe me dub jaane ko tayyar hai
Intezar to sirf aapki mulakat ka hai
`
Mulakat maut ki mehman ban gayi hai
Nazar ki duniya veeran ban gayi hai
Meri sans bhi ab meri nahi rahi
Ye zindagi aapki mohabbat par kurban ho gayi hai…

Na Chand Ki Tarah,Na suraj Ki Tarah !!

Na Chand Ki Tarah,Na suraj Ki Tarah,
Na Aasma Ki Tarah,Na sitaro Ki Tarah,
Koi Dost Mujhe Mile To Bus Aap Ki Tarah !!
`
Khushiyo Par Fizao Ka Pehra Na Jane Kis
Umeed Pe Dil Thahra Teri Ankho Se Jhalakte
Dard Ki Kasam Ye Dosti Ka Rishta Mahobbat Se Gahra !!
`
Wo Dil Hi Kia Jo Tere Milne Ki Tamana Na Kare ,
Me Tujhey Bhool K Zinda Rahoon Khuda Na Kare,
Rahega Payar Tera Sath Mere Zindagi Ban Kar,
Ye Or Bat He Kay Zindagi Mere Wafa Na Kare !!
`
Sabne Kaha Dosti Ek Dard Hai,
Hamne Kaha Dard Kabul Hai!
Sabne Kaha Dard Ke Saath Ji Na Paoge,
Hamne Kaha Teri Dosti Ke Saath Marna Kabul Hai !!
`
Jab Koi Khayal Dil Se Takarata Hai,
Dil Na Chahkar Bhi Khamosh Rah Jata Hai
Koi Sab Kuch Kahkar Dosti Jatata Hai
Koi Kuch Na Kahkar Dosti Nibhata Hai !!
`
Duniya Me Bohut Gam Milege
Sach Mano Achhe Dost Kam Milege
Jish Mod Sab Shath Chhod Dege
Us Mod Per Intjaar Karte Hum Milege !!
`
Pehle Chitti Ke Badle Taar Aata Tha
1 Bulave Pe Mera Yaar Aata Tha
Ab Padke Delete Karti Hai Mera Msg Ko
Kabhi Har Msg Ka Jawab Aata Tha !!
`
Suraj Ke Samne Raat Nahi Hoti,
Sitaron Se Dil Ki Baat Nahi Hoti,
Jin Doston Ko Hum Dilse Chahte Hai,
Na Jaane Kyun Unse Roz Mulakat Nahi Hoti !!
`
Koi Kahta Hai Dosti Nasha Ban Jati Hai,
Koi Kahta Hai Dosti Saza Ban Jati Hai,
Dosti Karo Agar Dil Se To Dosti Hi
Jeene Ki Vajah Ban Jati Hai !!
`
Yade Hoti Hai Satane Ke Liye
Koi Roothata Phir Manane Ke Liye
Rishte Banana Koi Muskil To Nahi
Bas Jan Tak Chali Jati Hai,Use Nibhane Ke Liye !!
`
Kas Khusiyno Ki Ek Dukan Hoti
Aur Usme Hamari Pahchan Hoti
Lelete Apke Liye Sari Khusiyna
Chahe Unki Kimat Hamari Jan Hoti !!
`
Hum Agar Apko Msg Nahi Kar Pate To Aisa Nahi Hai
Ki Ap Hume Yad Nahi Aate Mana Ki Sab Rishte,
Nibhaye Nahi Jate Par Jo Bas Jate Hai Dil Main Bulaye Nahi Jate !!